Monday, December 17, 2007

माया

माया और मित्थ्या ही
जीवन की राह दिखाती है
यह वो गाजर है
जो हम जैसे गधों की चलती है!!

लड़की मिलने का आशा न हो
जो पीछे जाओगे कयों ?

बीवी तो दूसरे की भी अच्छी होती है
फिर अपनी के नखरे उठाओगे कयों ?

पैसे का मोह न हो
तो बंजर career पे जान लगोगे कयों ?

उस में रहने का चाव न हो तो
११ बजे offshore का कॉल उठाओगे कयों ?

कोई सपनो के पूरा होने की प्रोबबिलिटी निकल दे
तो रोज़ जिंदगी का सामना करने जाओगे कयों ?

Written in response to Jaggi ji's poem

सब माया है
क्या खोया क्या पाया है
सब माया है

मैं उसको प्यार करता हूँ वोह किसी और को
( पब्लिक : इतनी पुरानी कहानी क्यों लाया है )
सब माया है

US या India
Salary या Career
इन questions ने ऐसा घुमाया है
सब माया है

सपने या reality
career या stability
constraints ने ऐसा फसाया है
सब माया है

बदली कंपनी बदले दोस्त
बदला शेहेर बदले लोग
घूम फ़िर के फिर वहीं आया है
सब माया है

खुशी क्या है
success क्या है
सब कुछ मिला क्योंकि आज किसी तो हास्य है
सब माया है

Tuesday, November 20, 2007

Time

We get up every morning with a handful of time,
but moments slip away from between our fingers.
And soon the night embellished with stars sets in,
while worries of undone tasks lingers.

The argument of dreams and reality persist,
and the disparity of what is sought and found is stark.
But still the future is intriguing, with promises of light,
even if the era bygone was dark.

So we go on to try harder, walk that extra mile,
to reach the summit of our dreams, steep heights we climb.
What works to move the wheel of existence,
is this master illusion of life called time.

Wednesday, April 18, 2007

Rahein…

Sochti hongi yeh rahein chalte hue,
Rukhna kitna thaka deta hoga …

Sochti hongi yeh rahein mudte hue,
Anjaan ehsaas kitna romani hota hoga…

Sochti hongi do rahein milte hue,
Khud ko khona, paane ka doosra naam hoga…

Sochti hongi do rahein bichadte hue,
Apna kuch astitva, kya har baar, aise hi kho jata hoga

Sochti hongi yeh rahein manzil ki dahleez per,
Safar, jeet se kitna behter hoga…

Wednesday, March 21, 2007

baat..

baat mein kuch baat ho to baat banti hai!
baat mein kuch jazbaat ho to baat khilti hai!!
baat mein aawaz ho yeh kahan jaroori hai!
baat mein hayaat ho to baat kehti hai!!

jazbaat - emotions
hayaat - life

Thursday, February 08, 2007

Tanhaii

Haathon mein lamhon ko liye baithi hoon deewar ke sahare
Bahut si baatein taeir rahi hain, bas pati nahin kinare

Chadar ki tarah jindagi bhi unsimti si rakhi hain
Yaadon ki tarah kitabein bhi to saamne bhikhri padi hain

Kuch rok kar rakhe gaye faislon ka boojh hai kaandhon per
Apni soch ke bhanwar se jhuka hua hai sar

Is bhaari khmoshi se shayad thak gaya hai waqt
Shayad mere hi bister per, undhein muh leta hai waqt

Kyon jaaye yeh shaam, ki kal phir aisi hi ek shaam aayegi
Jab meri jindagi, mere ru-ba-ru aa kar khamosh hi laut jayegi

Wednesday, January 31, 2007

Kabhi Kabhi

Dhoondte hain manzilon ko kabhi, kabhi raaston ko hum!
Darrte hain nazdikiyon se kabhi, kabhi faaslon se hum!!

Sab ki sun ne ki khata, karte hain baar baar!
ladte hain aadaton se kabhi, kabhi haarte hain hum!!

Khwabon ke haqeeqt ban ne ki dua, karte hain baar baar!
jaante hain kya chahte hain kabhi, kabhi bekhabar hain hum!!

Aaine mein aks dekhe din kai hue!
khud se ajnabi hain kabhi, kabhi pehchante hain hum!!

Sanson se aur dhandkanon se marasim purane hain!
Lagte hai yeh jindagi kabhi, kabhi bandishon mein hain hum!!