Thursday, July 21, 2011

Afsana

Raah mein chalte hue jab us per nazar padi
Humne uthaya, sehlaya, jhaad poonch ke hatheli pe bithaya
Dosti sa kuch karne ka irada tha…

Thoda aitbaar, thoda guroor, thodi samjh se dekha hi tha
Ki haathon se phisal gayi…

Jyada samjh nahin aaya ki hua kya,
Na guroor galti maan paya, na aitbaar ko yakeen hi aaya,
Per samjh se samjhaya

Kya hua jo ek baar pakad dheeli hui
Jhuk ke utha lo dobara, jyada socho mat

Us din se humne kayi koshishien ki
Rishta jodne ki, jod ke kayam rakhne ki,
Usko apni aur khud ko uski aadat daalne ki

Per jindagi, aaj bhi phisalti hai…

Aaj bhi har galti palat ke poochti hai
Ki galti kis ki thi
Kabhi apne ko badalne ki koshish ki
To kabhi jindagi hi mein nuks nikaale

Chod kar laut jaye aise kafir bhi nahin
Har haar per aakhein na dabdabayein aise sikandar bhi nahin

bade upaay kare,
kabhi doosron ki khali hatheliyan dekhi,
kabhi apne ki tay kiye gaye raaston ko yaad kiya...

Afsana kehte hain to shikayat hoti hai
chup rehte hain to ghootan

jo bhi hai ...
bas padi hai jindagi rah per
ek kankar ke pass...
dhool mein..

Thursday, March 17, 2011

Khayaalon ki lohpathgamini!!!

Thakkti nahin hai, thamti nahin hai
Khayaalon ki lohpathgamini!!!

Bina baaton ke kai baatein bunti hai
Khayaalon ki lohpathgamini!!!

Kyun hamesha bura se bura sochti hai
Khayaalon ki lohpathgamini!!!

jeevan ke ghaaton se ghatak hai
Khayaalon ki lohpathgamini!!!

aaj ki khusiyon ko andekha karti hai
Khayaalon ki lohpathgamini!!!

Friday, March 04, 2011

Jindagani!!

Dhoomil, dhooshit, dhoondli yaadein aakhon mein reh jaani hai!
Hawaien kyun badalti hai itni jab saansein jaani pehchani hai!!

Haathon mein apno ke haathon ki chuan, ab aas bana kar sajani hai!
Kal ki chinta mein aaj ke palon ko kitni pareshaani hai!!

Aks apna har aaine mein badalta hai, chehre ko bhi ab hairani hai!
Tukdo mein, bant kar jee paana hi kya safal jindagani ki nishani hai?

Thursday, February 17, 2011

Ghar

Bahut khush hoon per aankhon mein aanson hai...
Ek lambi udaan bharni hai apne ghosle ki taraf ....
Vo ghosla jo kabhi fadfada kar choda tha....

Ajab hai mera ghosla ....
Har tinka naya aur chamakdaar nahin hai ...
Kuch saboot bhi nahin ...
Per ma-papa ki zid per sab taane-baane mein shamil hai....

Vo zid jisne humein banaya, udna sikhaya ...
Ek astitva diya...
Ek samajhdari se bhara sar diya aur usko buland rakhne ka hausla.....

Hausla.... Jo ab toot sa raha hai...
Kai baar ro chuki hoon subah se ...
Aur abhi bhi aanson thamte nahin... 

Dam ghut raha hai us purane band pade, behen aur mere kamre mein saans lene ko
Aankhein baras rahi hai bina webcam per dhundlayi papa ki tasveer dekhne ko...
Vo ehsaan jab tv room mein ma purani kursi ka hattha pakad se dheere se meri saath walli kursi per baithegi...

Wahan ja ke sab badal jayega....
Samajhdari ki baatein karongi....
Khaasi ho gayi hai.... Jab khasongi wahan to papa pareshaan honge, gussa bhi karenge ...
Mummy jhunjhlayegi ki itne din baad aa ke bhi bas Tv dekhti hai...
papa saath denge yeh keh ke, ki bachche ko wahan indian channel kahan milte hain...

Main mann hi mann ginongi wapas aane ke din aur tadpongi yeh soch soch ke ki main kyun udi....
Aur kaise mera aasman is ghosle ke aage kuch bhi nahin hai....