Haathon mein lamhon ko liye baithi hoon deewar ke sahare
Bahut si baatein taeir rahi hain, bas pati nahin kinare
Chadar ki tarah jindagi bhi unsimti si rakhi hain
Yaadon ki tarah kitabein bhi to saamne bhikhri padi hain
Kuch rok kar rakhe gaye faislon ka boojh hai kaandhon per
Apni soch ke bhanwar se jhuka hua hai sar
Is bhaari khmoshi se shayad thak gaya hai waqt
Shayad mere hi bister per, undhein muh leta hai waqt
Kyon jaaye yeh shaam, ki kal phir aisi hi ek shaam aayegi
Jab meri jindagi, mere ru-ba-ru aa kar khamosh hi laut jayegi
1 comment:
Interesting!
Post a Comment