Sunday, January 20, 2008

Bachpan

bin baat ke hansne ka sakoon chahiye
aankhon mein sapno ka junoon chahiye

duniya ke galat hone ka yakeen chahiye
dil ki aawaz ko samaeen chahiye

mujhe ek meethi si umeed chahiye
mere deewanepan ko ek mureed chahiye

tanhayi se ladne ki takat chahiye
kisi apne ke hone ki raahat chahiye

waqt se bezaar jindagi ko…
eb baar phir, bachpan ka deedar chahiye

5 comments:

deee said...

aise lagta hai ki jaise mano khud ke rubaroo ho gaye ho ... aur mang rahe hai bas thodi si ..... bas thodi si zindgi ....
jaise mano hum bahut door nikal gaye ho ... aur peeche se apni hi awaz bulate hue kehti hai ... ek baar .... bas ek baar laut aa ...

Anonymous said...

Oji, vadiya hai !!! buss Angrezi main uska translation zaraa karke bataiye naa... kuch words samjhe hi nahi mureed and samaaen!!! waise bahut badhiya vichaar hai!

Priti said...

Mureed =disciple
Sameen =audience

~fannan said...

bahut khoob pretty!

Anonymous said...

All I want is the headstart of a day,
To set right what has gone astray.
All you want is a chance to escape,
to run far far away.
All we need is a companion,
to hold our hand through the long and tiring day.
All that the world needs is a better tomorrow.
But tomorrow is just another today!

Hi!
Just checking to see if you know (or can guess) the author.
Adios