Friday, March 04, 2011

Jindagani!!

Dhoomil, dhooshit, dhoondli yaadein aakhon mein reh jaani hai!
Hawaien kyun badalti hai itni jab saansein jaani pehchani hai!!

Haathon mein apno ke haathon ki chuan, ab aas bana kar sajani hai!
Kal ki chinta mein aaj ke palon ko kitni pareshaani hai!!

Aks apna har aaine mein badalta hai, chehre ko bhi ab hairani hai!
Tukdo mein, bant kar jee paana hi kya safal jindagani ki nishani hai?

2 comments:

~fannan said...

Bahut khoob!

Jinda rehne ke liye jo gani padti hai wohi to jinda-gani hai!

Asmita said...

Beautiful piece of work!