Raah mein chalte hue jab us per nazar padi
Humne uthaya, sehlaya, jhaad poonch ke hatheli pe bithaya
Dosti sa kuch karne ka irada tha…
Thoda aitbaar, thoda guroor, thodi samjh se dekha hi tha
Ki haathon se phisal gayi…
Jyada samjh nahin aaya ki hua kya,
Na guroor galti maan paya, na aitbaar ko yakeen hi aaya,
Per samjh se samjhaya
Kya hua jo ek baar pakad dheeli hui
Jhuk ke utha lo dobara, jyada socho mat
Us din se humne kayi koshishien ki
Rishta jodne ki, jod ke kayam rakhne ki,
Usko apni aur khud ko uski aadat daalne ki
Per jindagi, aaj bhi phisalti hai…
Aaj bhi har galti palat ke poochti hai
Ki galti kis ki thi
Kabhi apne ko badalne ki koshish ki
To kabhi jindagi hi mein nuks nikaale
Chod kar laut jaye aise kafir bhi nahin
Har haar per aakhein na dabdabayein aise sikandar bhi nahin
bade upaay kare,
kabhi doosron ki khali hatheliyan dekhi,
kabhi apne ki tay kiye gaye raaston ko yaad kiya...
Afsana kehte hain to shikayat hoti hai
chup rehte hain to ghootan
jo bhi hai ...
bas padi hai jindagi rah per
ek kankar ke pass...
dhool mein..